Bollywood actress Rani Mukherjee ne apni 10 saal ki beti Adira Chopra ki parwarish aur uske funny aur bold nature par khul kar baat ki. Unhone kaha ke woh apni beti se darti hain, kyunki Adira kabhi kabhi unko thappad bhi maar sakti hai. Rani ne parenting mein dialogue aur understanding ko zaroori qarar diya.