Recent barishon ke baad Rawal Dam ka pani eik martaba phir barh gaya hai, jis ke baad intizamia ne aaj subah 11 baje spillways kholne ka faisla kiya hai. Islamabad district administration ke mutabiq Dam mein Water level 1750 feet cross kar chuka hai, aas paas ke residents ko alert jari kar diya gaya hai.