Former Bollywood actress Sana Khan ne wazeh kar diya hai ke unke shohar Mufti Anas ne unhein Bollywood chhorne ke liye brainwash nahi kiya. Sana ka kehna hai ke yeh unka apna faisla tha kyun ke woh zindagi mein sukoon aur roohani itminan chahti thin. Unhon ne apni secret shadi aur nayi zindagi par bhi khul kar baat ki.