Shahida Mini ne khulasa kiya ke unhein apna pehla gaana gaane par sirf 5 rupay inaam mila tha. Actress ne bataya ke yeh gaana unhon ne PTV Home par stool par kharay ho kar gaya. Unhon ne Master Sadiq sahab ko yaad karte hue kaha ke woh bohat azeem aur lajawab fankar thay.