Host aur actress Maya Khan ne inkishaaf kiya hai ke unke sabiq shohar ne unki tamam kamai qabze mein le li thi. Maya Khan ke mutabiq is wajah se unhein shadeed maali mushkilaat ka saamna raha. Unhon ne kaha ke saboot ke bawajood do saal adalaton ke chakkar lagaye magar apni mehnat ki kamai wapas na mil saki.