Varun Dhawan ke Pakistan mukhalif bayan par social media par sakht reaction dekhne mein aa raha hai. Apni aane wali propaganda film ke song launch par diye gaye bayan ke baad Pakistani users ne unhein shadeed trolling ka nishana banaya. Logon ne bayan ko nafrat angez aur haqeeqat se door qarar diya, jabke film ko bhi propaganda kaha ja raha hai.