Hania Aamir ne pehli baar 2025 mein guzri mushkilat aur zati dard par khul kar baat ki hai. Instagram post mein unhon ne bataya ke career ke liye yeh saal bohat kamyab tha, lekin is doran andar se kaafi toot chuki thin. Actress ne kaha ke yeh saal unhein sabr, khamoshi aur dobara kharay hone ka sabq de gaya.