Senior Pakistani actress Hana Khawaja Bayat ne apne shohar ki tisri barsi par unke aakhri alfaaz yaad karke Instagram par jazbati video share kiya. Unhon ne kaha ke shohar ke alfaaz “Allah hai na, woh tumhare saath hai” ne unhein zindagi jeene ka sahi tareeqa sikhaya. Hana kehti hain ke wo ab akele hain magar tanha nahi.