Senior actress Atiqa Odho ne kaha hai ke Pakistani fun ko India mein is liye allow nahi kiya jata kyunke hamare dramas aur films unke political narrative ko challenge karte hain. Unka kehna hai ke art aur politics ka takrao cultural exchange ko nuqsan pohancha raha hai. Atiqa ne barabari aur mutual respect par zor diya.