Nadia Khan ne apni dost Nida Yasir ko mashwara diya ke bike aur delivery riders par diye gaye mutanaza bayan par unhein maafi maang leni chahiye. Social media par riders ne sakht narazgi ka izhar kiya aur maafi ka mutalba bhi kiya. Nadia ka kehna hai ke Nida ne jaan boojh kar dil azari nahi ki, magar maafi de dena behtar hoga.