Ali Ansari baba banne ke baad kaafi emotional ho gaye hain. Beti Serena Ali ko pehli dafa godh mein uthate hi unki aankhon mein aansu aa gaye. Is khushi ke lamhe mein unhein apne late waalid aur Saboor Aly ki mother ki bohot yaad aayi. Ali ne kaha ke woh apne waalid jaisa hi cool aur samajhdaar baba banna chahte hain.