Madhuri Dixit ne gender pay gap ko sirf Bollywood ka nahi balke har field ka masla qarar diya. Unhon ne kaha ke auratein aaj bhi apni mehnat ka poora haq hasil karne ke liye struggle karti hain. Madhuri ka kehna hai ke baat zyada paisa lene ki nahi, balke ek munsefana nizaam ki hai jahan aurat ki mehnat ka sahi ehtram ho.