Lahore mein Badami Bagh Khokhar Road ke qareeb eik khasta haal ghar ki chhat girne se do nanhay bachay jaan se gaye aur eik zakhmi hua. Ye waqia dopehar ke waqt hua. 5 saala Tauseef aur uska 7 saala cousin Subhan halaak hue, jabke 3 saala Rehan aur unki dadi zakhmi ho gaye. Ghar Danish Raza naam ke eik shehri ka tha.