Karachi ke ilaqay Tariq Road par chaar na maloom afraad ne eik sunaar se 3 crore 95 lakh rupay loot liye. Sunaar Saddar Sarafa Bazaar se sona farokht kar ke paisay le kar wapas aa raha tha ke na maloom afraad ne aslah ke zoar par paisay chheen liye aur farar ho gaye. Tehqiqaat jaari hai aur CCTV footage hasil ki ja rahi hai.