Adakara Tooba Anwar ne bataya ke kuch showbiz adakaraon ne eik WhatsApp group banaya hai jiska maqsad eik dosray se raabta mein rehna aur zehni sehat ke hawale se eik dosray ka haal maloom karna hai. Yeh qadam Humaira Asghar ke wafat ke baad uthaya gaya, jo tanhaai mein zindagi guzar rahi thi aur unka koi haal poochhne wala nahi tha.