Punjab Council of the Arts ne stage adakaron ke dance performances par sakht nigraani shuru kar di hai. Stage adakara Sajjan Chaudhry ko eik na munasib dance performance par notice bheja gaya hai. Unhein kaha gaya hai ke woh 3 din ke andar jawab dein, warna unke khilaf sakht qanooni karwai ki jaayegi.