Momina Iqbal ne apni industry aur mulk ko tarjeeh dete hue kaha ke woh apne logon ke beech khush hain. Jab unse poocha gaya ke agar mauqa mile to Bollywood mein kaam kareingi, to unka jawab tha, “Nahi, main apne logo mein khush hoon.” SRK ke saath kaam karne ka sawal bhi unhone mana kiya.