Pakistan aur duniya bhar mein Gold ke qeematon mein khasa izafa dekha gaya. 24 karat Gold ka eik tola Rs1,100 izafa ke saath Rs358,100 ka ho gaya, 10 gram Rs307,013. Duniya bhar mein bhi Gold ki qeemat $11 se barh kar $3,356 ho gai. Chandi ke qeematon mein bhi khasa izafa dekha gaya, Eik tola Rs4,022 aur 10 gram Rs3,488 ka ho gaya.