Basant Kot, Tehsil Pathika mein na-maloom afraad ne eik nayaab leopard ko goli maar kar halaak kar diya. Wildlife Department ke mutabiq leopard ki umar taqreeban 5 se 6 saal thi. Intizamiya ne leopard ki laash qabzay mein le li hai aur is waqia ka muqadma bhi darj kar diya gaya hai.