Adakara Momina Iqbal ke shohar Hamza Habib ne apni shadi shuda zindagi par dilchasp baat ki hai. Unhon ne mazahiya andaaz mein bataya ke shadi ke baad se wo aur Momina sirf khane peene mein masroof hain aur dono ka wazan tezi se badh raha hai. Unka yeh bayan social media par kafi viral ho raha hai.