Viral gym coach Nitesh Soni ka kehna hai ke agar wazan kam karna hai to is asaan fat burner drink ko rozana subah khali pait piya jaye. Unke mutabiq eik glass paani mein thora adrak, dar chini ka tukra, 2 Alaichi, thora methi dana powder, zeera aur ajwain daal kar ache se ubaal lein, aur thanda kar ke istemal karein.