Social media star Samiya Hijab ne Makkah Mukarramah mein apne Umrah par tanqeed karne walon ko jawab diya. Kuch followers ne unke sins aur Umrah ko lekar comments kiye, lekin Samiya ne Instagram par wazahat ki ke Allah hi dilon ko jaanta hai aur Makkah mein har shakhs apni niyat ke saath ibadat karta hai.